dasht-e-ghurbat mein agar sath tumhaara hota kyun na sadiyon ka safar hum ko gawara hota apni tazin se kuchh waqt bacha kar jaanan mere mahaul ki zulfon ko sanwara hota apne masnad se zara niche utar kar tu ne ek lamha hi mere sath guzara hota ruk na jata wo kisi koh-e-giran ki manind tu ne gar waqt ke dariya ko pukara hota mere be-nur darichon mein ziya ki khatir koi jugnu koi suraj koi tara hota