apni be-chehragi mein patthar tha aaina bakht mein samundar tha sarguzisht-e-hawa mein likha hai aasman ret ka samundar tha kis ki tasnif hai kitab-e-dil kaun talif par muqarrar tha kuchh to wazeh na tha teri surat aur kuchh aaina mukaddar tha wo nazar khizr-e-rah maqtal thi us se aage mera muqaddar tha raat aaghosh-e-dida-e-tar mein aks-e-aghosh-e-dida-e-tar tha ye qadam is gali ke lagte hain jis gali mein kabhi mera ghar tha