tere karam se khudai mein yun to kya na mila magar jo tu na mila zist ka maza na mila hayat-e-shauq ki ye garmiyan kahan hotin khuda ka shukr hamein nala-e-rasa na mila azal se fitrat-e-azad hi thi aawara ye kyun kahen ki hamein koi rahnuma na mila ye kaenat kisi ka ghubar-e-rah sahi dalil-e-rah jo banta wo naqsh-e-pa na mila ye dil shahid-e-fareb-nigah ho na saka wo lakh hum se ba-andaz-e-mahramana mila kanar-e-mauj mein marna to hum ko aata hai nishan-e-sahil-e-ulfat mila mila na mila teri talash hi thi maya-e-baqa-e-wajud bala se hum ko sar-e-manzil-e-baqa na mila