mausamon ki tarah badla main ki tu kaun kis ko bhul baitha main ki tu samne dariya magar pabandiyan ek ek qatre ko tarsa main ki tu pakai-e-daman ke afsane na kah kaun hai har samt ruswa main ki tu justuju kis ko nai duniya ki thi dasht mein shoalon ke bhatka main ki tu zindagi ke sakht-o-sangin mod par kaun tha kis ka sahaara main ki tu jis mein donon ki bhalai thi nihan aise har nukte ko samjha main ki tu jagti aankhon se 'bismil' aaj-kal dekhta hai kaun sapna main ki tu