kya pata kis jurm ki kis ko saza deta hun main rang sa ek bandhta hun phir bhula deta hun main apne aage ab to main khud bhi thahar sakta nahin samna hote hi chutki mein uda deta hun main moajiza agla to ab shayad purana ho chala dekhna ab ke koi chakkar naya deta hun main mujh se aage bhi nikal jaana bahut mushkil nahin aaj-kal aahista-rau hun rasta deta hun main shor sa uthta hai aur uthte hi dab jata hai ab harf sa likhne se pahle hi mita deta hun main taki meri sulh-jui ko lage kuchh bhaw bhi har nae fitne ko dar-parda hawa deta hun main baat bhi sunta nahin hun wasl mein dil ki 'zafar' aise khar-maston ko mahfil se utha deta hun main