apni ghazlon ko risalon se alag rakhta hun yani ye phul kitabon se alag rakhta hun han buzurgon se aqidat to mujhe hai lekin mushkilen apni mazaron se alag rakhta hun manzilen aa ke mere panw mein gir jati hain hausla jab main thakanon se alag rakhta hun un ki aamad ka pata deti hai khushbu un ki us ghadi khud ko jahanon se alag rakhta hun hosh wale mujhe apnon mein gina karte hain main kahan khud ko diwanon se alag rakhta hun mujh ko achchha nahin lagta ye umiden tuten is liye tir kamanon se alag rakhta hun