khud ko jab lag gai nazar apni zindagi ban gai khandar apni jab bhi suraj ghurub hota hai yaad aati hai dopahar apni us ka qissa bhi ab tawil nahin hai kahani bhi mukhtasar apni sath hota hai jab bhi gham us ka mujh ko hoti nahin khabar apni koi mubham sa naqsh-e-pa bhi nahin suni suni hai rahguzar apni hun to apnon ki bhid mein 'talib' koi leta nahin khabar apni