apni haalat pe aansu bahane lage sard raaton mein khud ko jagane lage surkh taron ke hamrah kar ke safar khwab-zaron se kyun aage jaane lage dur bajne lagi hai kahin bansuri hum bhi zindan mein git gane lage jo basarat basirat se mahrum hain shahr ke aainon ko sajaane lage hum ne jab haal-e-dil un se apna kaha wo bhi qissa kisi ka sunane lage nisti ka sitam koi kam tha jo tum apni hasti ka dukh bhi manane lage jab bujhi meri aankhon ki lau 'asima' tera manzar bhi jalwa dikhane lage