kis ka shoala jal raha hai shoalagi se mawara kaun raushan hai bhala is raushni se mawara jite ji to kuchh nahin dekha nazar se han magar hairaten dhunda kiye is hairati se mawara kaun sa aalam hai malik tere aalam mein nihan kaun sajde mein chhupa hai bandagi se mawara koi to batlaega aage kahan mudti hai rah koi to hogi zamin us malgaji se mawara baat jine ki ada tak khub-surat hai magar zindagi kuchh aur hai is zindagi se mawara khak-basta phir raha hai kaun si basti mein dil kaun aakhir khasta-jaan hai khastagi se mawara ek nagar tarsa hua hai aur sahra hai tawil aur ek naddi hai koi tishnagi se mawara kab se khali hath hai yan ek khilqat ishq ki hum bhi ho jaenge ek din bebasi se mawara in farawan neamaton aur barkaton ke bawajud koi muflis chal diya hai muflisi se mawara apni duniya mein agar phaili hai tariki to kya din kahin nikla to hoga tirgi se mawara