bhuli baaton se bhi ab dil ko lagana kaisa rah jo chhod chuke phir wahan jaana kaisa aql aur ishq ka baham ye milana kaisa aap pahlu mein hain phir hosh mein aana kaisa tar-e-daman se ulajhti rahi uljhan meri kaisi be-chaargi daman ka badhana kaisa parkhe hi jaane ka ehsan liye phirta hun kaisi maqbuliyat aur dil mein samana kaisa dhup hathon pe malen rang-e-hinai dekhen khwab hi khwab hain khwabon ka thikana kaisa kanch ke tukde hi aankhon ki amanat thahre kaisi ta'biren yahan khwab ka aana kaisa ghaw ginte mein hi guzri hai yahan to 'farhat' kya gham-e-dostan marham ka lagana kaisa