apni hasti ko yahan be-muddaa samjha tha main kya samajhna chahiye tha aur kya samjha tha main tum ko apne dard-e-dil ki gar dawa samjha tha main kya ghalat samjha tha main bilkul baja samjha tha main kis ghalat-fahmi mein apni umr sari kat gai ek wafa-na-ashna ko ba-wafa samjha tha main kuchh na puchho rah-e-ulfat mein meri wamandgi kakul-e-pechida ko zanjir-e-pa samjha tha main us ka har har ghunt tha zahr-e-halahal se siwa zindagi ko chashma-e-ab-e-baqa samjha tha main sach hai 'najmi' ishq azin bisyar kardast-o-kunad sar ka dena ek aain-e-wafa samjha tha main