bulbul-e-rangin-nawa khamosh hai bagh ki sari faza khamosh hai gul khilae us ne kya kya bagh mein phir bhi kis darja saba khamosh hai aarzu jin ki thi mujh ko mil gae ab zaban-e-iltija khamosh hai be-kasi ye kis ne li teri panah gor ka kis ki diya khamosh hai shorish-e-dil shorish-e-mahshar nahin zindagi apni bhi kya khamosh hai sochti hai ja ke ye barse kahan mere ashkon ki ghata khamosh hai kis ko jine ki tamanna hai yahan kyun lab-e-mojiz-numa khamosh hai husn-e-dilkash ka bhi kya andaz hai naz goya hai ada khamosh hai hai yahan 'najmi' usi ka shor-o-ghul go ba-zahir wo sada khamosh hai