apni hi aawargi se dar gae bas mein baithe aur apne ghar gae sari basti raat bhar soi nahin aasman ki samt kuchh patthar gae sab tamasha sari duniya dekh li us gali se ho ke apne ghar gae bich mein jab aa gai diwar-e-jism apne sae se bhi hum bach kar gae aur kya loge hamara imtihan zindagi di thi sau wo bhi kar gae aap ne rakkha meri palkon pe hath mera sina motiyon se bhar gae kuchh kharida hum ne dekho kuchh nahin hum bhi is bazar se ho kar gae 'mushaf' us ko bewafa kahte ho tum aur jo ilzam us ke sar gae