hasin tujh se tera husn-e-talab tha main apne aap ko hasil hi kab tha adab malhuz ta hadd-e-adab tha main bina bhi jo na-bina-laqab tha main apne aap se bichhda to jaana na milna bhi tere milne ka dhab tha tere gham ki masarrat allah allah jo nam-dida tha wo khanda-ba-lab tha azal se yun tujhe sab jaante hain koi pahchanta ab hai na tab tha har ek laghzish pe phailae tha bazu tera gham rabarana bhi ghazab tha