apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega khanjar-e-saffak par jauhar ayan ho jaega aah-e-sozan ka agar uncha dhuan ho jaega aasman ek aur zer-e-asman ho jaega kuchh samajh kar us mah-e-khubi se ki thi dosti ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega le khabar bimar-e-gham ki warna ai rashk-e-masih teri furqat mein firaq-e-jism-o-jaan ho jaega khak kar dega mujhe aakhir siyah-chashmon ka ishq jism-e-khaki gard-e-pa-e-ahuwan ho jaega jab ada se wo karega qatl mujh ko ai 'asar' kushta-e-shamshir-e-hairat ek jahan ho jaega