kisi ke waste kya kya hamein dukh jhelne honge shabon ko jagna hoga kade din katne honge teri sangin fasilon ko to jumbish tak nahin aai hawaen le udin jin ko wo apne jhonpade honge bhanwar tak to koi aaya nahin mere liye lekin main bach nikla to sahil par kai bazu khule honge khizan ka zahr sare shahr ki rag rag mein utra hai gali-kuchon mein ab to zard chehre dekhne honge hamein duniya ki gardish ye tamasha bhi dikhaegi gharon mein tirgi hogi munderon par diye honge koi daulat nahin 'imdad' apne dast o daman mein faqat yaadon ke sikke dil tijori mein rakhe honge