apni KHush-fahmi ko idrak samajhne wale

apni khush-fahmi ko idrak samajhne wale
khak samjhenge mujhe khak samajhne wale

ek zara tez hawa se ye gareban khula
dar gae khud mein ise chaak samajhne wale

jaane un ko mere andar ki khabar kaise hui
thik samjhe mujhe saffak samajhne wale

mere andar se mera juft numudar hua
aur shashdar hain mujhe tak samajhne wale

khak tujh fikr ki tarsil pe sahraon ki
dida-e-gul ko bhi namnak samajhne wale

main tere jaisa khuda hone se mahfuz raha
dagh-e-‘isyan se mujhe pak samajhne wale

dasht-dar-dasht bhatakte hue dekhe 'tahir'
khud ko is dahr mein chaalak samajhne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close