barae-pas-e-adab khak baith sakti hai tu baithi kyon nahin jab khak baith sakti hai abhi to qafila sahra mein chal raha hai miyan ye baith jaega tab khak baith sakti hai khala ke par gaya hai koi sawar kahin udi hai rashk se kab khak baith sakti hai wo jis ke sar pe chadhaya tha khak-e-imkan ko usi hawa ke sabab khak baith sakti hai ‘ajam se aai hui ek khwahish-e-khaki ba-pesh-e-shah-e-'arab khak baith sakti hai mere hi dam se udi phir rahi thi sahra mein main uth raha hun so ab khak baith sakti hai