shor-e-aindagan hai dusri samt ek aatish-fishan hai dusri samt is taraf to charagh-e-dil bhi nahin aur ek kahkashan hai dusri samt dusri samt ja raha hun main meri jaanib rawan hai dusri samt meri jaanib hai ek charagh ki lau aur sara jahan hai dusri samt wahi ghaugha hai shor-o-ghul hai wahi wahi shor-e-sagan hai dusri samt phir mujhe ek dil dikhaya gaya main ne puchha kahan hai dusri samt mujhe dhundo na shash-jihat mein tum main wahan hun jahan hai dusri samt main ki aawaz de raha hun yahan aur meri ham-zaban hai dusri samt sidhe raste pe chalne wala hun yani mujh par giran hai dusri samt is taraf to koi sawal nahin khwab ka imtihan hai dusri samt chashm-e-hairat ne khol di hai girah be-nishan ka makan hai dusri samt la-makan mein makan makhfi hai be-nishan ka nishan hai dusri samt