apni khushbu mein apni ada mein rahe hum jo apni hi aab-o-hawa mein rahe log logon se milte bichhadte rahe hum bahut khush rahe hum khuda mein rahe ruh pyasi rahi ek udasi rahi hum jahan bhi rahe karbala mein rahe chand lamhe sahi kya ye kam hai koi aansuon mein rahe iltija mein rahe teri khwahish ko apni dua kar liya is bahane musalsal dua mein rahe aasmani sahifon ka daura kiya ambiya auliya ausiya mein rahe aisi arzaniyan aisi uryaniyan aur jo is haal mein bhi haya mein rahe nek-o-bad mein rahe apni had mein rahe had mein rahne ka matlab ana mein rahe