uthaya hai abhi tak main ne lutf-e-zindagi aadha jawani hai abhi aadhi budhapa hai abhi aadha muamma hai wo jis ke gham mein mera haal patla hai nazar ke samne aata hai zalim har ghadi aadha kabhi to harkaton se half mind wo lage mujh ko kabhi to apni baaton se lage hai falsafi aadha phire jo dum pakad kar shairon ki is zamane mein yaqin mano banega shair-e-azam wahi aadha isha padh kar cinema dekhne jata hai jo ladka bada ho kar banega dekhna wo maulwi aadha mile ho tum bhi 'wahid' se kaho kaisa laga tum ko mujhe to shakl-o-surat se laga wo aadmi aadha