apni KHwahish ke agar pankh kutarte bante

apni khwahish ke agar pankh kutarte bante
dasht-o-sahra mein bhi hamwar ye raste bante

us dil-e-shokh ki bas ek nazar hai kafi
der lagti nahin ehsas ke rishte bante

aaina-khane hi logon ka bharam rakhte hain
warna har lamhe to chehre na badalte bante

koi to hai jo harane pe tula hai mujh ko
baat yunhi to nahin bigde hai bante bante

ta-kuja dil ko tasalli pe tasalli dete
ta-kuja rah-e-tamanna se na chalte bante

garche hoti na meri zist ki mubham ye kitab
zindagi sab tere auraq ye padhte bante

sabr ki mat jo hoti to ye hota 'arif'
dil ke arman sar-e-rah kuchalte bante


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close