![](http://cdn.pagalshayari.com/images/ghazal/apni-marzi-se-kahan-apne-safar-ke-hum-hain-nida-fazli-ghazal-english.jpg)
apni marzi se kahan apne safar ke hum hain rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain pahle har chiz thi apni magar ab lagta hai apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain waqt ke sath hai miti ka safar sadiyon se kis ko malum kahan ke hain kidhar ke hum hain chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka nasib sochte rahte hain kis rahguzar ke hum hain hum wahan hain jahan kuchh bhi nahin rasta na dayar apne hi khoe hue sham o sahar ke hum hain gintiyon mein hi gine jate hain har daur mein hum har qalamkar ki be-nam khabar ke hum hain
This is a great allah ki marzi shayari. Please share if you liked this!!!