apni mitti ko sar-afraaz nahin kar sakte ye dar-o-baam to parwaz nahin kar sakte aalam-e-khwahish-o-targhib mein rahte hain magar teri chahat ko subu-tazh nahin kar sakte husn ko husn banane mein mera hath bhi hai aap mujh ko nazar-andaz nahin kar sakte shahr mein ek zara se kisi ghar ki khatir apne sahraon ko naraaz nahin kar sakte ishq wo kar-e-musalsal hai ki hum apne liye ek lamha bhi pas-andaz nahin kar sakte