dil pe gar chot na lagti to na ishrat thi na gham saz ke parde se bahar na nikalta sargam hum ko bakhsha hai zamane ne jahan-bhar ka alam tab-e-khurshid se chhalni hua qalb-e-shabnam ab ye haalat hai ki wo khud hue mail-ba-karam aaj yaad aae bahut hum ko zamane ke sitam khak-e-parwana dam-e-subh udi jati hai khul na jae kahin mahfil ke charaghon ka bharam jaise usha ki larazti hui pahli aahat yun tabassum tere honton pe hai darham-barham khaliq-e-jud-o-sakha ye to badi baat na thi teri duniya mein tabassum ko taraste rahe hum