apni mohabbaton ka ye achchha sila mila jo bhi mila mujhe wo mujhi se khafa mila tujh se bichhad ke bhi main na tujh se bichhad saka jis rah par gaya main tera naqsh-e-pa mila ahl-e-karam ki bhid se guzri hai zindagi tujh sa magar koi na karam-ashna mila duniya jafa-shiar rahi hai ye sach sahi ai rah-naward rah-e-wafa tujh ko kya mila is ko quyud-e-aql ne diwana kar diya bahar mila mujhe to wo achchha-bhala mila khushiyan milin to aankh jhapakne ki der tak gham jo mila mujhe wo bahut der-pa mila is mukhtasar hayat mein kis kis ko roiye har marhala hayat ka sabr-azma mila nadida ek kashish hai nahin jis ka koi nam dil se nigah tak ek ajab silsila mila be-e'tinaiyon se mili tab-e-zabt-e-gham teri nawazishon se mujhe hausla mila tera karam hai teri inayat hai ai junun main jis ko dhundhta tha mujhi mein chhupa mila 'qadir' bahut nihaal hai apni shikast par bazi lagai dil ki to us ka maza mila