bujha bhi jae koi aa ke aandhiyon ki tarah ki jal raha hun kai yug se main diyon ki tarah wo doston ki tarah hai na dushmanon ki tarah main jis ko dekh ke hairan hun aainon ki tarah main us ko dekh to sakta hun chhu nahin sakta wo mere pas bhi hota hai faslon ki tarah wo aa bhi jae to us ko kahan bithaunga main apne ghar mein to rahta hun be-gharon ki tarah na jaane raat gae kis ki nuqrai aawaz khanakti hai mere kanon mein chudiyon ki tarah