apni nazron ko bhi diwar samajhta hoga jo musafir tere kuche se guzarta hoga aaj thahra hai mera harf-e-wafa qabil-e-dar kal tu hi meri wafaon ko tarasta hoga zabt ka had se guzarna bhi hai ek sail-e-bala dard kya hoga agar had se guzarta hoga us ki tarif mein jab koi kahi jae ghazal kuchh na kuchh rang qaside ka jhalakta hoga kushta-e-zabt-e-fughan naghma-e-be-saz-o-sada uf wo aansu jo lahu ban ke tapakta hoga sher ban kar mere kaghaz pe jo aaya hai lahu ashk ban kar tere daman se ulajhta hoga hain jo larzan mah-o-anjum ki shuaen 'akhgar' koi betab falak par bhi tadapta hoga