azm-e-safar se pahle bhi aur khatm-e-safar se aage bhi rahguzar hi rahguzar hai rahguzar se aage bhi tab-e-nazar to shart hai lekin hadd-e-nazar kyun hail hai jalwa-fagan to jalwa-fagan hai hadd-e-nazar se aage bhi subh-e-azal se sham-e-abad tak mere hi dam se raunaq hai is manzar se us manzar tak us manzar se aage bhi wahm-o-guman se ilm-o-yaqin tak saikdon nazuk mod aae ru-e-zamin se shams-o-qamar tak shams-o-qamar se aage bhi dil se dua nikle to yaqinan bab-e-asar tak pahunchegi aah jo nikle dil se to pahunche bab-e-asar se aage bhi dida-e-tar ka ab to 'akhgar' ek hi aalam rahta hai nala-e-shab se aah-e-sahar tak aah-e-sahar se aage bhi