apni palkon se jo tute hain guhar dekhte hain hum dua mangte hain aur asar dekhte hain koi barsa hua baadal bhi jo guzra hai to hum dar ke barish mein tapakta hua ghar dekhte hain sair kaisi yahan tahzib ki zanjir bhi hai hum to bas rauzan-e-diwar se dar dekhte hain sirf khwabon ka jahan hum ne sajaya warna log to ji mein jo aa jae wo kar dekhte hain dagh-e-dil dida-e-tar wahshat-e-jaan tanhai un ko kya wo to faqat arz-e-hunar dekhte hain ek wo manzilen badh kar jinhen lene aaen ek hum rah mein jo gard-e-safar dekhte hain dil bujha jata ho jab raat ki tariki mein dekhne wale tab aasar-e-sahar dekhte hain