hausle apne rahnuma to hue hadse gham ka aasra to hue be-wafa hi sahi zamane mein hum kisi fan ki intiha to hue wadi-e-gham ke hum khandar hi sahi aane walon ka rasta to hue kuchh to maujen uthi samundar se be-sabab hi sahi khafa to hue un ko apna hi gham sahi lekin wo kisi gham mein mubtila to hue khud ko begana kar ke duniya se chand chehron se aashna to hue khanda-e-gul hue ki shola-e-jaan haal pe mere lab-kusha to hue pattharon ke nagar mein ja ke 'nazar' kam se kam sang-ashna to hue