apni palkon se us ke ishaare utha us ki ungliyon se ishaare utha aisa lagta hai dohra raha hun main kuchh zindagi ke purane shumare utha raushni ka wo kaisa ajab shor tha is kinare hua us kinare utha aakhiri hai safar wo subuk-sar chale us ke daman se apne sitare utha aankh ki us badan par lakiren khinchin har ghazal se nae istiare utha guftugu manzaron ki tarah khul ke ho ab na tashbih aur istiare utha tera maqsad hai kya main samajh jaunga koi mausam hi ki baat pyare utha rang se rang milne na pae kahin ek ek kar ke sare nazare utha jhil patwar wapas na degi kabhi apni kashti ab apne sahaare utha aag ke ek qalam ki siyahi laga jo dhuan 'nur' ganga kinare utha