tut jae to kahin us ko bhi chain aata hai dil-e-be-tab tadap kar hi sukun pata hai aap aate to thahar jate ye lamhe shayad waqt ko yun bhi guzarna hai guzar jata hai is tasawwur se ki shab bhar teri rah dekhenge sham aati hai to dil dub ke rah jata hai gham ka ehsas bhi gumbad ki sada ho jaise dil se takraata hai phir dil mein palat aata hai wusat-e-did nigahon ka muqaddar na bani aankh ke til mein to aalam bhi simat aata hai ashk thamte hain to ho jati hain aankhen khun-rang jaan sambhalti hai to dil zabt se mar jata hai koi nisbat hai tere nam se 'simin' warna yun kisi baat ka ilzam liya jata hai