apni qismat ki lakiron ko ishaara na mila koi jugnu koi moti koi tara na mila jin ka bachpan meri banhon mein hi guzra tha kabhi is budhape mein mujhe un ka sahaara na mila gham ke mare to hazaron hi zamane mein mile mere jaisa koi taqdir ka mara na mila ghum aae hain jahan sara magar aaj talak aap ke jaisa hansi koi dobara na mila apni palkon ko bichhaya teri rahon mein magar teri aamad ka koi dil ko ishaara na mila mujh ko duniya ne to nafrat ke siwa kuchh na diya mar hi jaunga agar pyar tumhaara na mila jo safine ko kinare se laga deta mere hae qismat mujhe aisa koi dhaara na mila hai ghamon ka wo bhanwar jis mein phansa hun ai 'mukesh' zindagi ko meri khushiyon ka kinara na mila