tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain bahut hadsat-e-jahan aur bhi hain hasin aur bhi hain jawan aur bhi hain ghazalan-e-abru-kaman aur bhi hain sabhi ko mohabbat mein hote hain sadme abhi kya abhi imtihan aur bhi hain chalo dhum se jashn-e-matam manaen hamein ek nahin nauha-khwan aur bhi hain nahin khatm kuchh aasman par khudai mere haal par mehrban aur bhi hain naqab us ne rukh se uthai to lekin hijabaat kuchh darmiyan aur bhi hain fareb-e-karam ek to un ka hai is par sitam meri khush-fahmiyan aur bhi hain wafa un se apni jatane gae the magar ab to wo bad-guman aur bhi hain nahin sabr hi ki kami tujh mein 'fazli' meri jaan kuchh khamiyan aur bhi hain