hijr ke hath se ab khak pade jine mein dard ek aur utha aah naya sine mein khun-e-dil pine se jo kuchh hai halawat hum ko ye maza aur kisi ko nahin mai pine mein dil ko kis shakl se apne na musaffa rakkhun jalwa-gar yar ki surat hai is aaine mein ashk o lakht-e-jigar aankhon mein nahin hain mere hain bhare lal o guhar ishq ke ganjine mein shakl-e-aina 'zafar' se to na rakh dil mein khayal kuchh maza bhi hai bhala jaan meri lene mein