apni qismat ki tere sath nazar aate hain tujh se milne ke liye shams-o-qamar aate hain kis ko ab qissa-e-mahbub sunaya jae yaad karte hain to sab zakhm ubhar aate hain aakhiri waqt mein de jate hain dagh-e-furqat ham-safar aise bhi dauran-e-safar aate hain yaad aata hai mera tum se juda ho jaana barg jis tarh hawaon mein bikhar aate hain ku-e-jaanan ki fazaon ke taqaddus ki qasam wan se jo aate hain wo pak nazar aate hain zahid-e-khushk ko matlab nahin maikhane se dilbari jin ka watira ho idhar aate hain