kuchh mera bhi charcha hai taqdir ke maron mein tuta hua tara hun pur-nur sitaron mein rangin nazaron se wahshat hai mere dil ko main kaise chala jaun gulshan ki bahaaron mein rahta hun main sahra mein basti se juda ho kar dhundo na mujhe yaro tum shokh nazaron mein main kaise rahun zinda girdab ki banhon mein milti hai aman kis ko tufan ke dhaaron mein ye log lutere hain lutenge mere dil ko milte hain kahan mukhlis in hirs ke maron mein kandhon pe utha lena tabut-e-mohabbat ko mujh ko bhi saja dena chahat ke mazaron mein main 'ashna' waqif hun haalat-e-gulistan se jazbaat ki garmi hai phulon mein na kharon mein