apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin hont hi sun hain khamoshi ka sabab kuchh bhi nahin ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar sehr-o-afsun ke siwa jashn-e-tarab kuchh bhi nahin bah gae waqt ke sailab mein jismon ke suhag ab na wo chashm na rukhsar na lab kuchh bhi nahin reza reza hai kisi khwab-e-zar-afshan ka tilism fasl-e-gul anjum-o-mahtab ye sab kuchh bhi nahin mere aansu inhen karte hain ujagar kuchh aur pahle jo log sabhi kuchh the aur ab kuchh bhi nahin hum pe to subh se raushan thi ye sham-e-be-kaif tum ko is sham se andaza-e-shab kuchh bhi nahin shahr-e-dil shahr-e-khamoshan ki tarah hai gunjaan kitna aabaad magar shor-o-shaghab kuchh bhi nahin ye jahan aalam-e-asbab hai nadan na bano kaun manega tabahi ka sabab kuchh bhi nahin rang-o-bu gul se mukar jaen to rahta kya hai aag bujh jae to suraj ka laqab kuchh bhi nahin khol hi khol hai nau-khez dabistan-e-khayal shor hi shor hai takhliq-e-adab kuchh bhi nahin gum raho gum ki yahan jurm hai izhaar-e-kamal chup raho chup ki yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin meri takhrib se yaron ka bhala kya hoga meri punji to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhi nahin us taraf wa hai dar-e-rahmat-e-yazdan 'danish' is taraf wusat-e-daman-e-talab kuchh bhi nahin