mamuli be-kar samajhne wale mujh se dur rahen mujh ko ek aazar samajhne wale mujh se dur rahen pagal-pan mein aa kar pagal kuchh bhi to kar sakta hai khud ko izzat-dar samajhne wale mujh se dur rahen hans padta hun jab koi haalat ka rona rota hai jiwan ko dushwar samajhne wale mujh se dur rahen main waqif hun rangon ki har rang badalti fitrat se raunaq ko bazar samajhne wale mujh se dur rahen majnun aur shahon mein kuchh din main bhi uttha baitha hun sahra ko gulzar samajhne wale mujh se dur rahen manzil ki khwahish hai jin ko aaen mere sath chalen raston ko hamwar samajhne wale mujh se dur rahen aanchal aur malbus pe jin ki aankhen chipki rahti hain un ko ba-kirdar samajhne wale mujh se dur rahen 'faiz-alam-babar' khud bhi yar hai jaane kis kis ka yaron ko makkar samajhne wale mujh se dur rahen