apni tabi’aton mein na ghussa na taw tha be-iltifatiyon ke sabab ye subhaw tha aa'sab mein tanaw dilon mein khinchaw tha mauzu'-e-guftugu yahi bazar bhaw tha apna wajud bhi koi kaghaz ki naw tha bahta chala gaya hai jahan tak bahaw tha sada the aise hum ki samajh hi nahin sake baaton mein kaisa pher tha kaisa ghumaw tha galiyan wahin hain shahr wahi raste wahi wo log hi nahin rahe jin se lagaw tha apne liye sune hue qisson mein tha maza ahbab ke khulus mein aisa dabaw tha dushman bhi dushmanon ki tarah mil nahin saka apne mizaj mein bhi bada rakh-rakhaw tha majbur yun hue ki hamein yaad hi nahin mailan kis taraf tha kidhar ko jhukaw tha tarikh likhne walon se 'iqbaal' puchhiye apne watan mein pahle bhi kya bhed-bhaw tha