har subh apne ghar mein har raat apne ghar mein hona thi kya hui hai kya baat apne ghar mein auham apne ghar mein aafat apne ghar mein ho kyon na aansuon ki barsat apne ghar mein hum jaante hain apni auqat apne ghar mein late nahin hain koi saughat apne ghar mein duniya mein kitne raste aur kitni manzilen hain hai kya sabab jo aae har raat apne ghar mein sar kis jagah jhuka hai dil kis jagah dukha hai sab kuchh kahenge tujh se ai raat apne ghar mein baghon mein aur kuchh the raston mein aur kuchh the kuchh aur ho gae hain jazbaat apne ghar mein nairangi-e-jahan ko hum khub jaante hain ek zat ghar se bahar ek zat apne ghar mein kuchh khel aise khele 'iqbaal' zindagi ne sadiyon ki tarh guzre lamhat apne ghar mein