yarab jo sar pe hai wo samandar utar de dharti pe bund-bund payambar utar de ab kyon na hum bhi sath bagule ke ud chalen shayad kisi makan ki chhat par utar de bhanwaron ka raqs khatm huin titliyan hawa ai shakh-e-sabz phulon ka zewar utar de pahchanta hun khub ari sar-phiri hayat aa samne ye dard ki chadar utar de patthar bana na de kahin mausam ka sard hath shishe ki aag jism ke andar utar de 'tahir' pahad hone lagi hai shab-e-firaq dil ki nadi mein aas ke paikar utar de