bahut hi dil-nashin aawaz-e-pa thi na jaane tum the ya baad-e-saba thi baja karti thin kya shahnaiyan si khamoshi bhi hamari jab nawa thi wo dushman hi sahi yaro hamara par us ki jo ada thi kya ada thi sabhi aks apna apna dekhte the hamari zindagi wo aaina thi chala jata tha hansta khelta main nigah-e-yar meri rahnuma thi chalo tuti to zanjir-e-mohabbat musibat thi qayamat thi bala thi na hum badle na tum badle ho lekin nahin jo darmiyan wo chiz kya thi mohabbat par udasi chha rahi hai hai kya anjam aur kya ibtida thi shagufe phutte the dil se 'naushad' ye wadi pahle kitni pur-faza thi