barae nam sahi din ke hath pile hain kahin kahin pe abhi raushni ke tile hain tamam raat mere gham ka zahar chusa hai isi liye teri yaadon ke hont nile hain hamare zabt ki diwar aahani na sahi tumhaare tanz ke neze kahan nukile hain unhen bhi aaj ki tahzib chat jaegi kahin kahin pe jo simte hue qabile hain har ek shakhs hai paighambarana soch mein gharq husul-e-zist ke shayad yahi wasile hain hamari sada-mizaji pe rashk karte hain wo sada-posh jo be-intiha rangile hain badan ka loch labon ki mithas qurb ka lams tasawwuraat ke sab zaiqe rasile hain khulus-e-dil se samaat ka imtihan to lo gham-e-hayat ke naghme bade surile hain