dagh-e-dil gham ki tapish se yun sar-e-sham jale apni nakaami pe jaise koi nakaam jale un ke jalwon ki chamak hai ki dahakte shoale dekhne wale ye samjhe ki dar-o-baam jale junhi saqi ne meri samt badhaya saghar mai-kade mein kai rindan-e-tahi-jam jale yun jala karta hai dil mein teri furqat ka charagh jaise turbat pe koi shama sar-e-sham jale ahl-e-irfan ko parastar-e-mohabbat pa kar aatish-e-rashk-o-hasad mein kai asnam jale baat kahne ki nahin phir bhi kahe dete hain hum tere gham se kabhi subh kabhi sham jale dekh kar 'basit'-e-khuddar-tabiat tujh ko kya tajjub hai agar gardish-e-ayyam jale