apni to taqdir mein shab-bhar khak udana hoga hi yar to sare bichhad chale hain un ka thikana hoga hi din chadh aaya kyon nahin aae jaen un se puchh aaen lekin un ke pas to ai dil koi bahana hoga hi aao chalen un ki mahfil mein aur apni sudh-budh kho den aaj bhi yaro un aankhon mein koi fasana hoga hi subh ko shab kah dete hain hum sach ko jhut batate hain hum jaise sar-phiron se to naraaz zamana hoga hi ai rangun mein chalti hawa mera sandesa leti ja tera to un ki galiyon mein aana-jaana hoga hi aaj mila tha 'pashi' se main wo bhi hai shadab bahut meri tarah us ke dil mein bhi gham ka khazana hoga hi