munh andhere chamanistan ka paikar le kar kaun guzra hai dabe panw gul-e-tar le kar mujh ko shahi mein faqiri ka maza aata hai kya karunga main sikandar ka muqaddar le kar kaun aaya hai bayaban mein ki sannata hai apni aankhon mein chaman-zar ka manzar le kar tere kuche mein ba-sad shauq luta aaya hun apna sarmaya-e-dil tere barabar le kar kucha-e-shahr-e-nigaran mein phira hai barson shauq-e-awara-mizaji mujhe dar-dar le kar hum ne jugnu ko andheron mein bhatakte dekha apni mutthi mein ujalon ka muqaddar le kar qadr-e-mehnat na hui sare zamane mein 'laiq' laut aaya main khayalat ke jauhar le kar