zindagi bhar hum jise kahte rahe hain zindagi hai faqat taswir-e-hasrat sar-basar tishna-labi chahaton ke shokh naghmon se musalsal khelti aas ki masti faza mein dur tak lahra gai phir udasi sham ki kuchh aur gahri ho gai phir kisi ghaeb-shuda manzar ki hai jadugari manzilon ki ek shagufta manzari ko napti sanwli si ek thakan hai manzilon ke pas hi yun musalsal mauj mein hai ek tufan-e-nafi mutmain hai zakhm-e-dil se zakhm-e-dil ki tazgi yaad teri kuchh dabe panw hi shayad aa gai dastaken hain ab dar-e-dil par bahut khamosh si munakis hai shokh nuqton par mizaj-e-shaeri ek sanjida tanawwo lahja lahja pukhtagi lamha lamha kuchh nai be-tabiyon se aashna nit-nae tewar badalti hai faza bhar aagahi in labon par saj gai harf-e-ijazat ki tarah ek ghalat andaz lahje ki hasin aawargi gungunate hain sitare jhilmilati loriyan waqt ko shayad faza ki god mein nind aa gai bebasi kuchh is tarah likkhi hai chehre par mere aankta hai har bashar yaksar meri bechaargi ab sameto dastanon ka bikharta silsila hai nawa-e-nim-shab ki sadhna khamoshi si