apnon ki tutti hui taswir dekh li aghyar ki bhi chah mein tasir dekh li aaya nahin hai hosh nigahon ko ab talak bikhre hue jo khwabon ki tabir dekh li kya mangta main teri pashemani ka subut aankhon se bahte ashkon mein tazir dekh li ab tak dikhe parinde asir-e-qafas magar sayyaad ke bhi hath mein zanjir dekh li tha jis ke pech-o-kham pe ye sara jahan fida lo hum ne bhi wo zulf-e-girah-gir dekh li 'naqid' hai be-zaban khada dar pe nama-bar chehre pe us ke aap ki tahrir dekh li